Phir ek mulakaat ka waada kar lo,
Duniya ko na ho khabar, aisa koi ek bahana kar lo.
Ek shaam aur yaadgar banane ka irada kar lo
Ek duje ki baahon mein samaane ka wada kar lo...
Jahaan mein rahun, tum raho, aur rahe koi na
Sitaron ki roshni ho magar, Chaand na jhakne paye jidhar
Aisi kisi ek jagah ka thikana kar lo,
Tum meri aankhon ko ghar banane ka wada ka lo...
Is bahane hi sahi, ki is kadar
Na ho khatam yeh mulakat humari
Ek duje se bichadne ki yaadien liye.
Phir ek mulakaat ka waada kar lo..
Saturday, October 20, 2007
Subscribe to:
Comments (Atom)